Kya aapki car ya inverter ki battery jaldi discharge ho jaati hai? Kya aap naye inverter ya car ki battery zyada din chalana chahte hain? Toh yeh tips aapke kaam aayengi! ⚡🔋
Car Battery Ke Liye Tips
1️⃣ Overcharging Se Bachein
Car ki battery ko hamesha sahi voltage par charge karein. Overcharging ya undercharging dono hi battery ki life ko kam kar sakti hain.
2️⃣ Regular Ignition Check Karein
Agar car ko lambe samay tak start nahi karte toh battery discharge ho sakti hai. Har 2-3 din me car start karein taki battery active rahe.
3️⃣ Battery Terminals Saaf Rakhein
Car battery ke terminals par jamne wale carbon aur dust ko time-to-time saaf karein. Isse connection better hota hai aur battery performance improve hoti hai.